Sana Batool
asar usko zara nahin hota ranj rahat faza nahin hota tum hamare kisi
tarah na hue warna duniya main kya nahin hota narasai se dam ruk to ruk
main kisi se khafa nahin hota tum mere pas hote ho goya jab koi dusra
nahin hota hal-e-dil yar ko likhun kyon kar hath dil se juda nahin hota
kyon sune arz-e-muztarib ae ‘Momin’ sanam akhir Khuda nahin hota