kabi mom ban k pigal gay,
kabi girte girte sanmbhal gay,
wo ban k lamha guraiz ka,
mere pas se nikal gya,
use rokta b to kis tara,
k wo shakhs itna ajeeb tha,
kabi tarap utha meri aah se,
kabi ashk se na pagal saka,
sar-e-rah mila agar kabi,
to nazar chura kar guzar gya,
wo utar gya meri aankh se,
mere dil se kyoun na utar saka,
wo chala gya jahan chor k,
main wahan se phir na palat saka,
wo sanmbhal ga tha FARAZ magar,
main bikhar k phir na simat saka.